kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se
kuchh aisā hai fareb-e-nargis-e-mastāna barsoñ se
ki sab bhūle hue haiñ ka.aba-o-but-ḳhāna barsoñ se
na ab mansūr baaqī hai na vo dār-o-rasan lekin
fazā meñ gūñjtā hai na.ara-e-mastāna barsoñ se
chaman ke naunihāl is ḳhaak meñ phūleñ phaleñ kaise
yahāñ chhāyā huā hai sabza-e-begāna barsoñ se
ye āñkheñ muddatoñ se ḳhūgar-e-barq-e-tajallī haiñ
nasheman bijliyoñ kā hai mirā kāshāna barsoñ se
tire qurbāñ idhar bhī ek jhoñkā abr-e-rahmat kā
jabīnoñ meñ girah hai sajda-e-shukrāna barsoñ se
'suhail' ab kis ko sajda kījiye hairat kā aalam hai
jabīñ ḳhud ban ga.ī sang-e-dar-e-jānāna barsoñ se
kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se
ki sab bhule hue hain kaba-o-but-KHana barson se
na ab mansur baqi hai na wo dar-o-rasan lekin
faza mein gunjta hai nara-e-mastana barson se
chaman ke naunihaal is KHak mein phulen phalen kaise
yahan chhaya hua hai sabza-e-begana barson se
ye aankhen muddaton se KHugar-e-barq-e-tajalli hain
nasheman bijliyon ka hai mera kashana barson se
tere qurban idhar bhi ek jhonka abr-e-rahmat ka
jabinon mein girah hai sajda-e-shukrana barson se
'suhail' ab kis ko sajda kijiye hairat ka aalam hai
jabin KHud ban gai sang-e-dar-e-jaanana barson se
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 95)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.