Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aisa ho gaya hai yar apna

Naeem Raza Bhatti

kuchh aisa ho gaya hai yar apna

Naeem Raza Bhatti

MORE BYNaeem Raza Bhatti

    kuchh aisā ho gayā hai yaar apnā

    gila bantā hai ab bekār apnā

    pas-e-parda bahut be-pardagī hai

    bahut bezār hai kirdār apnā

    įø³harābe meƱ kise apnÄ« įø³habar hai

    agarche kar liyā inkār apnā

    dar-o-dÄ«vār se jhaįøŒtÄ« hai hairat

    kahāƱ le jā.Å«Ć± maiƱ āzār apnā

    vafūr-e-nashsha-e-laĔhzish ke baa.is

    huā hai rāsta hamvār apnā

    patiƱge gher laatā huuƱ kahīƱ se

    diye kī lau se jo hai pyaar apnā

    'razā' ye phuul hone kī tamannā

    kisī kī saaƱs par hai baar apnā

    kuchh aisa ho gaya hai yar apna

    gila banta hai ab bekar apna

    pas-e-parda bahut be-pardagi hai

    bahut bezar hai kirdar apna

    KHarabe mein kise apni KHabar hai

    agarche kar liya inkar apna

    dar-o-diwar se jhaDti hai hairat

    kahan le jaun main aazar apna

    wafur-e-nashsha-e-laghzish ke bais

    hua hai rasta hamwar apna

    patinge gher lata hun kahin se

    diye ki lau se jo hai pyar apna

    'raza' ye phul hone ki tamanna

    kisi ki sans par hai bar apna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now