kuchh aise aa raha hai husn-e-yar aahista aahista
kuchh aise aa raha hai husn-e-yar aahista aahista
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
kuchh aise aa rahā hai husn-e-yār āhista āhista
chaman meñ jaise aatī hai bahār āhista āhista
ye hasrat ye tamanna hai ki ai kaash us ke qadmoñ tak
pahuñch jaa.e mirā musht-e-ġhubār āhista āhista
mire zaḳhmoñ se phaTtā hai kaleja chārasāzoñ kā
ki jab rotā huuñ maiñ sīna-figār āhista āhista
manāzil ishq kī yuuñ roz-o-shab tai kar rahā huuñ maiñ
ki jaise gardish-e-lail-o-nahār āhista āhista
utar jaatā hai rafta rafta sab nashsha javānī kā
chalā jaatā hai ḳhud ranj-e-ḳhumār āhista āhista
azal se dosh par umr-e-ravāñ ke haath hai merā
pahuñch jā.ūñgā maiñ zer-e-mazār āhista āhista
nahīf-o-zār huuñ lekin mujhe jaanā hai us had tak
pahuñch jā.ūñgā maiñ bhī sū-e-dār āhista āhista
mohabbat kā maraz bhī kyā burī shai hai tabīboñ ko
sunātā huuñ maiñ apnā hāl-e-zār āhista āhista
kisī kī nok-e-mizhgāñ chubhtī hai har-dam rag-e-jāñ meñ
chalātā hai koī ḳhanjar kī dhaar āhista āhista
maiñ kar detā huuñ yā-rab sab havāle terī rahmat ke
gunāh apne jo kartā huuñ shumār āhista āhista
unheñ kyā ḳhauf hai jo haiñ shanāvar bahr-e-ulfat ke
vo is dariyā se ho jaate haiñ paar āhista āhista
chale jab girte paḌte 'sabr' mai-ḳhāna se ham pī kar
to bolī duḳhtar-e-raz hoshiyār āhista āhista
kuchh aise aa raha hai husn-e-yar aahista aahista
chaman mein jaise aati hai bahaar aahista aahista
ye hasrat ye tamanna hai ki ai kash us ke qadmon tak
pahunch jae mera musht-e-ghubar aahista aahista
mere zaKHmon se phaTta hai kaleja chaarasazon ka
ki jab rota hun main sina-figar aahista aahista
manazil ishq ki yun roz-o-shab tai kar raha hun main
ki jaise gardish-e-lail-o-nahaar aahista aahista
utar jata hai rafta rafta sab nashsha jawani ka
chala jata hai KHud ranj-e-KHumar aahista aahista
azal se dosh par umr-e-rawan ke hath hai mera
pahunch jaunga main zer-e-mazar aahista aahista
nahif-o-zar hun lekin mujhe jaana hai us had tak
pahunch jaunga main bhi su-e-dar aahista aahista
mohabbat ka maraz bhi kya buri shai hai tabibon ko
sunata hun main apna haal-e-zar aahista aahista
kisi ki nok-e-mizhgan chubhti hai har-dam rag-e-jaan mein
chalata hai koi KHanjar ki dhaar aahista aahista
main kar deta hun ya-rab sab hawale teri rahmat ke
gunah apne jo karta hun shumar aahista aahista
unhen kya KHauf hai jo hain shanawar bahr-e-ulfat ke
wo is dariya se ho jate hain par aahista aahista
chale jab girte paDte 'sabr' mai-KHana se hum pi kar
to boli duKHtar-e-raz hoshiyar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.