kuchh aise dukh diye masnad-nashin logon ne
kuchh aise dukh diye masnad-nashīn logoñ ne
uchhāl Daalī hai dil kī zamīn logoñ ne
hamārī bhuuk hamārī anā kā hissa thī
jise ḳharīd liyā hai zahīn logoñ ne
faqat hayāt se rishta bahāl rakhne ko
banā liyā hai badan ko machine logoñ ne
chhupā liyā yahāñ shohrat ke ḳhauf se ḳhud ko
na-jāne kitne hī gosha-nashīn logoñ ne
vahī zamīn hī firdaus ban ga.ī ik din
banā liyā jahāñ ulfat ko diin logoñ ne
yahī nahīñ ki faqat nafrateñ milīñ 'az.har'
baḌe karam bhī kiye haiñ hasīn logoñ ne
kuchh aise dukh diye masnad-nashin logon ne
uchhaal Dali hai dil ki zamin logon ne
hamari bhuk hamari ana ka hissa thi
jise KHarid liya hai zahin logon ne
faqat hayat se rishta bahaal rakhne ko
bana liya hai badan ko machine logon ne
chhupa liya yahan shohrat ke KHauf se KHud ko
na-jaane kitne hi gosha-nashin logon ne
wahi zamin hi firdaus ban gai ek din
bana liya jahan ulfat ko din logon ne
yahi nahin ki faqat nafraten milin 'azhar'
baDe karam bhi kiye hain hasin logon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.