kuchh aise ishq ka wo karobar karta tha
kuchh aise 'ishq kā vo kārobār kartā thā
jafā.eñ naqd vafā.eñ udhār kartā thā
kahāñ badan pe kabhī koī vaar kartā thā
ajab shikārī thā dil kā shikār kartā thā
phir ek roz qazā mere paas se guzrī
maiñ zindagī kā bahut e'tibār kartā thā
usī meñ lazzat-e-hijr-o-visāl sab kuchh thā
vo ek pal jo mujhe sogvār kartā thā
samajh liyā thā rafūgar jise mohabbat kā
qabā-e-‘ishq vahī tār-tār kartā thā
mirī hī 'aql se letā thā mashvare sab 'ishq
mirā junūñ hī mujhe hoshiyār kartā thā
kuchh aise 'ishq ka wo karobar karta tha
jafaen naqd wafaen udhaar karta tha
kahan badan pe kabhi koi war karta tha
ajab shikari tha dil ka shikar karta tha
phir ek roz qaza mere pas se guzri
main zindagi ka bahut e'tibar karta tha
usi mein lazzat-e-hijr-o-visal sab kuchh tha
wo ek pal jo mujhe sogwar karta tha
samajh liya tha rafugar jise mohabbat ka
qaba-e-‘ishq wahi tar-tar karta tha
meri hi 'aql se leta tha mashware sab 'ishq
mera junun hi mujhe hoshiyar karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.