kuchh aise mujhe saya-e-diwar pukare
kuchh aise mujhe sāya-e-dīvār pukāre
jaise kisī bīmār ko bīmār pukāre
maiñ dekhtā rahtā huuñ tire hoñT kī jānib
maiñ sochtā rahtā huuñ tū ik baar pukāre
vo aise pukāre ki simaT jaa.e har ik shai
vo aise pukāre ki fusūñ-kār pukāre
sab hañste hue logoñ ke muñh par ho tamāñcha
vo shaḳhs mujhe aise lagātār pukāre
har shaḳhs mujhe tere ‘azādāroñ meñ dekhe
har shaḳhs mujhe terā taraf-dār pukāre
ā.īna mujhe dekh ke hañs de mire uupar
darvāza mujhe dekh ke dīvār pukāre
us par tirī vahshat kā asar hai so ye 'dānish'
dīvāna tire dasht ko gulzār pukāre
kuchh aise mujhe saya-e-diwar pukare
jaise kisi bimar ko bimar pukare
main dekhta rahta hun tere honT ki jaanib
main sochta rahta hun tu ek bar pukare
wo aise pukare ki simaT jae har ek shai
wo aise pukare ki fusun-kar pukare
sab hanste hue logon ke munh par ho tamancha
wo shaKHs mujhe aise lagatar pukare
har shaKHs mujhe tere ‘azadaron mein dekhe
har shaKHs mujhe tera taraf-dar pukare
aaina mujhe dekh ke hans de mere upar
darwaza mujhe dekh ke diwar pukare
us par teri wahshat ka asar hai so ye 'danish'
diwana tere dasht ko gulzar pukare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.