kuchh aisi bebasi thi ki rishton mein bal paDe
kuchh aisī bebasī thī ki rishtoñ meñ bal paḌe
yuuñ dekhte hī dekhte raste badal paḌe
phir justujū-e-yār meñ taptī zamīn par
nange hī pair shahr ke 'ushshāq chal paḌe
us ne charāġh-e-fikr se kuchh mo'jize kiye
patthar kī aañkh se bhī do aañsū nikal paḌe
barsoñ ke baa'd dekh ke vo kaifiyat huī
jaise khilaunā dekh ke bachcha machal paḌe
kaisā hasīn ḳhvāb thā kaisā junūn thā
dast-e-hunar se dasht meñ chashme ubal paḌe
'bāsit' safar ye 'ishq kā āsāñ kabhī na thā
kyā pūchhte ho raah meñ kitne hī thal paḌe
kuchh aisi bebasi thi ki rishton mein bal paDe
yun dekhte hi dekhte raste badal paDe
phir justuju-e-yar mein tapti zamin par
nange hi pair shahr ke 'ushshaq chal paDe
us ne charagh-e-fikr se kuchh mo'jize kiye
patthar ki aankh se bhi do aansu nikal paDe
barson ke ba'd dekh ke wo kaifiyat hui
jaise khilauna dekh ke bachcha machal paDe
kaisa hasin KHwab tha kaisa junun tha
dast-e-hunar se dasht mein chashme ubal paDe
'basit' safar ye 'ishq ka aasan kabhi na tha
kya puchhte ho rah mein kitne hi thal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.