kuchh aisi chal rahi thi hawa dil nahin laga
kuchh aisī chal rahī thī havā dil nahīñ lagā
mele meñ zindagī ke zarā dil nahīñ lagā
tanhā.iyoñ ne mujh ko navāzā tamām umr
mahfil ke shor meñ ba-ḳhudā dil nahīñ lagā
duniyā-e-kārobār meñ ai tājir-e-azīm
saarā matā-o-māl lagā dil nahīñ lagā
maiñ raunaqoñ se shahr kī māyūs jab huā
ahl-e-ḳhirad ne mujh se kahā dil nahīñ lagā
be-zāriyoñ kā pūchhā jo ahbāb ne sabab
maiñ ne javāb un ko diyā dil nahīñ lagā
'amjad' to chaar din ko hī Thahrā sarā.e meñ
phir bhī vahāñ sukūñ na milā dil nahīñ lagā
kuchh aisi chal rahi thi hawa dil nahin laga
mele mein zindagi ke zara dil nahin laga
tanhaiyon ne mujh ko nawaza tamam umr
mahfil ke shor mein ba-KHuda dil nahin laga
duniya-e-karobar mein ai tajir-e-azim
sara mata-o-mal laga dil nahin laga
main raunaqon se shahr ki mayus jab hua
ahl-e-KHirad ne mujh se kaha dil nahin laga
be-zariyon ka puchha jo ahbab ne sabab
main ne jawab un ko diya dil nahin laga
'amjad' to chaar din ko hi Thahra sarae mein
phir bhi wahan sukun na mila dil nahin laga
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 211)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.