kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai
kuchh ajiib aalam hai hosh hai na mastī hai
ye tavīl tanhā.ī saañp ban ke Dastī hai
naġhma-e-tabassum se lab haiñ ab bhī nā-mahram
shāḳh-e-ārzū ab bhī phuul ko tarastī hai
ham ġharīb kyā jāneñ mol zindagānī kā
ham ko kyā pata ye shai mahñgī hai ki sastī hai
aao ham bhī dekheñge is dayār meñ chal kar
kaise log rahte haiñ kis tarah kī bastī hai
ḳhūb-rū tamannā.eñ ḳhush-libās ummīdeñ
shahr-e-dil kī bastī bhī kyā hasīn bastī hai
kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai
ye tawil tanhai sanp ban ke Dasti hai
naghma-e-tabassum se lab hain ab bhi na-mahram
shaKH-e-arzu ab bhi phul ko tarasti hai
hum gharib kya jaanen mol zindagani ka
hum ko kya pata ye shai mahngi hai ki sasti hai
aao hum bhi dekhenge is dayar mein chal kar
kaise log rahte hain kis tarah ki basti hai
KHub-ru tamannaen KHush-libas ummiden
shahr-e-dil ki basti bhi kya hasin basti hai
- Book : Soch Nager (Pg. 41)
- Author : Hassan Aabid
- Publication : Karwa.n Publications (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.