kuchh anokhe hain khel pyar ke dekh
kuchh anokhe haiñ khel pyaar ke dekh
jiit maqsūd ho to haar ke dekh
har taraf surḳh zard niile phuul
ThāTh ye mausam-e-bahār ke dekh
dard aḳhtar-shumārī betābi
ye nazāre bhī intizār ke dekh
tū ne nādāñ use qubūl kiyā
apne kandhoñ se bojh utaar ke dekh
ġhair mumkin hai un se chhuTkārā
silsile jabr-o-iḳhtiyār ke dekh
apne rab ko qarīb pā.egā
tū kisī din use pukār ke dekh
log majbūr jubba-sā.ī par
sho.abde sāhib-e-mazār ke dekh
pūchhte haiñ ki kyā tirī ḳhidmāt
kaise naḳhre haiñ ahl-e-dār ke dekh
kuchh anokhe hain khel pyar ke dekh
jit maqsud ho to haar ke dekh
har taraf surKH zard nile phul
ThaTh ye mausam-e-bahaar ke dekh
dard aKHtar-shumari betabi
ye nazare bhi intizar ke dekh
tu ne nadan use qubul kiya
apne kandhon se bojh utar ke dekh
ghair mumkin hai un se chhuTkara
silsile jabr-o-iKHtiyar ke dekh
apne rab ko qarib paega
tu kisi din use pukar ke dekh
log majbur jubba-sai par
shoabde sahib-e-mazar ke dekh
puchhte hain ki kya teri KHidmat
kaise naKHre hain ahl-e-dar ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.