kuchh arz-e-iltifat pe bhi ghaur kijiye
kuchh arz-e-iltifāt pe bhī ġhaur kījiye
merī guzārishāt pe bhī ġhaur kījiye
āsā.ishoñ meñ apnī raho har ghaḌī magar
apnoñ ke hādsāt pe bhī ġhaur kījiye
mat chheḌiyegā qissa-e-māzī pe guftugū
taaza muāmlāt pe bhī ġhaur kījiye
karb-o-balā meñ luT ga.ī nāmūs-e-mustafā
e.ajāz-o-vāqi.āt pe bhī ġhaur kījiye
buġhz-o-hasad kā shahr meñ charchā hai āj-kal
ab aise sānehāt pe bhī ġhaur kījiye
'tanhā' ise sañbhāl ke rakhnā jahān se
chāhat kī vārdāt pe bhī ġhaur kījiye
kuchh arz-e-iltifat pe bhi ghaur kijiye
meri guzarishat pe bhi ghaur kijiye
aasaishon mein apni raho har ghaDi magar
apnon ke hadsat pe bhi ghaur kijiye
mat chheDiyega qissa-e-mazi pe guftugu
taza muamlat pe bhi ghaur kijiye
karb-o-bala mein luT gai namus-e-mustafa
eajaz-o-waqiat pe bhi ghaur kijiye
bughz-o-hasad ka shahr mein charcha hai aaj-kal
ab aise sanehat pe bhi ghaur kijiye
'tanha' ise sanbhaal ke rakhna jahan se
chahat ki wardat pe bhi ghaur kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.