kuchh aur baDh gai hai KHalish kam nahin hui
kuchh aur baḌh ga.ī hai ḳhalish kam nahīñ huī
us kī nazar jo bhūle se barham nahīñ huī
saare charāġh apnī tamanna ke bujh ga.e
ik lau hai terī yaad kī maddham nahīñ huī
ai husn-e-ġham-navāz koī taaza vārdāt
muddat se apnī chashm-e-talab nam nahīñ huī
dāman tumhārī yaad kā chhūTā nahīñ kabhī
yūrish ġham-e-jahāñ kī idhar kam nahīñ huī
duniyā kī kam-nigāhī kā shikva fuzūl hai
jab terī chashm-e-nāz hī mahram nahīñ huī
vo zindagī baġhair tulū-e-sahar rahī
jo zindagī sharīk-e-shab-e-ġham nahīñ huī
ik ham hī be-niyāz-e-masarrat rahe 'niyāz'
rāhat jahāñ meñ kis ko farāham nahīñ huī
kuchh aur baDh gai hai KHalish kam nahin hui
us ki nazar jo bhule se barham nahin hui
sare charagh apni tamanna ke bujh gae
ek lau hai teri yaad ki maddham nahin hui
ai husn-e-gham-nawaz koi taza wardat
muddat se apni chashm-e-talab nam nahin hui
daman tumhaari yaad ka chhuTa nahin kabhi
yurish gham-e-jahan ki idhar kam nahin hui
duniya ki kam-nigahi ka shikwa fuzul hai
jab teri chashm-e-naz hi mahram nahin hui
wo zindagi baghair tulu-e-sahar rahi
jo zindagi sharik-e-shab-e-gham nahin hui
ek hum hi be-niyaz-e-masarrat rahe 'niyaz'
rahat jahan mein kis ko faraham nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.