kuchh aur bhi ziyaada sanwar ke dikhaunga
kuchh aur bhī ziyāda sañvar ke dikhā.ūñgā
ai zindagī tire liye mar ke dikhā.ūñgā
tuġhyāniyāñ to raḳht-e-safar haiñ mire liye
sāhil pe ek roz utar ke dikhā.ūñgā
kab tak sameT rakkhūñ sharār-e-junūñ ko maiñ
jañgal kī aag huuñ to bikhar ke dikhā.ūñgā
ḳhvāhish se kab ye haath falak tak pahuñchtā hai
jo kah rahā huuñ maiñ use kar ke dikhā.ūñgā
saarā safar faqat nahīñ saa.e ke vāste
shāḳh-o-gul-o-samar bhī shajar ke dikhā.ūñgā
kuchh aur bhi ziyaada sanwar ke dikhaunga
ai zindagi tere liye mar ke dikhaunga
tughyaniyan to raKHt-e-safar hain mere liye
sahil pe ek roz utar ke dikhaunga
kab tak sameT rakkhun sharar-e-junun ko main
jangal ki aag hun to bikhar ke dikhaunga
KHwahish se kab ye hath falak tak pahunchta hai
jo kah raha hun main use kar ke dikhaunga
sara safar faqat nahin sae ke waste
shaKH-o-gul-o-samar bhi shajar ke dikhaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.