kuchh aur lag rahi hai ye tumhein KHaton ki baat
kuchh aur lag rahī hai ye tumheñ ḳhatoñ kī baat
agarche jhuuT nahīñ thī mohabbatoñ kī baat
mohabbatoñ meñ zarūrat ke rañg shāmil the
khulā ye raaz ki hai saarī hausloñ kī baat
na jaane kaun sā ehsās us ko bhāyā hai
hujūm-e-shahr meñ laayā hai bekasoñ kī baat
mahak rahe haiñ dar-o-bām terī ḳhushbū se
ki ashk āñkhoñ meñ haiñ aur rāhatoñ kī baat
mujhe batā.e ga.e saare chāhatoñ ke alam
jalā jalā ke sunā.eñge rāstoñ kī baat
mire ḳhayāl meñ pinhāñ kisī kī socheñ haiñ
khulā ye raaz ki hai saarī ā.inoñ kī baat
ye dil ajiib musāfir DaTā huā hai abhī
thake thake se qadam aur manziloñ kī baat
kuchh aur lag rahi hai ye tumhein KHaton ki baat
agarche jhuT nahin thi mohabbaton ki baat
mohabbaton mein zarurat ke rang shamil the
khula ye raaz ki hai sari hauslon ki baat
na jaane kaun sa ehsas us ko bhaya hai
hujum-e-shahr mein laya hai bekason ki baat
mahak rahe hain dar-o-baam teri KHushbu se
ki ashk aankhon mein hain aur rahaton ki baat
mujhe batae gae sare chahaton ke alam
jala jala ke sunaenge raston ki baat
mere KHayal mein pinhan kisi ki sochen hain
khula ye raaz ki hai sari aainon ki baat
ye dil ajib musafir DaTa hua hai abhi
thake thake se qadam aur manzilon ki baat
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.