Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aur puchhiye ye haqiqat na puchhiye

Taskeen Qureshi

kuchh aur puchhiye ye haqiqat na puchhiye

Taskeen Qureshi

MORE BYTaskeen Qureshi

    kuchh aur pūchhiye ye haqīqat na pūchhiye

    kyoñ mujh ko aap se hai mohabbat na pūchhiye

    sajdoñ se tai maqām-e-mohabbat na ho sakā

    kyā kyā huī hai sar ko nadāmat na pūchhiye

    ka.abe meñ but-kade meñ harīm-e-jamāl meñ

    dil kahāñ kahāñ hai zarūrat na pūchhiye

    thī rāz-e-ibtidā-e-mohabbat bas ik nigah

    aisī nigāh jis haqīqat na pūchhiye

    kahne ko dil meñ kuchh bhī nahīñ juz ḳhayāl-e-yār

    lekin ḳhayāl-e-yār vus.at na pūchhiye

    donoñ bhuul jaane ke qābil haiñ ishq meñ

    afsāna-e-majāz-o-haqīqat na pūchhiye

    'taskīñ' ye jān-o-dil the hameñ bhī kabhī aziiz

    ab zindagī hai kis badaulat na pūchhiye

    kuchh aur puchhiye ye haqiqat na puchhiye

    kyon mujh ko aap se hai mohabbat na puchhiye

    sajdon se tai maqam-e-mohabbat na ho saka

    kya kya hui hai sar ko nadamat na puchhiye

    kabe mein but-kade mein harim-e-jamal mein

    dil ki kahan kahan hai zarurat na puchhiye

    thi raaz-e-ibtida-e-mohabbat bas ek nigah

    aisi nigah jis ki haqiqat na puchhiye

    kahne ko dil mein kuchh bhi nahin juz KHayal-e-yar

    lekin KHayal-e-yar ki wusat na puchhiye

    donon hi bhul jaane ke qabil hain ishq mein

    afsana-e-majaz-o-haqiqat na puchhiye

    'taskin' ye jaan-o-dil the hamein bhi kabhi aziz

    ab zindagi hai kis ki badaulat na puchhiye

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 235)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now