kuchh batana nahin ki tujhse kahen
Interesting Fact
نذرِ فرازؔ
kuchh batānā nahīñ ki tujh se kaheñ
dil dukhānā nahīñ ki tujh se kaheñ
ye na.e zāviye haiñ zaḳhmoñ ke
dil lubhānā nahīñ ki tujh se kaheñ
ik zamāna ki sab kahā tujh se
vo zamāna nahīñ ki tujh se kaheñ
dil bahaltā thā aane jaane se
ānā-jānā nahīñ ki tujh se kaheñ
kār-e-mushkil hai joḌnā dil kā
āzmānā nahīñ ki tujh se kaheñ
hīr-rāñjhā kī ye kahānī nahīñ
ye fasāna nahīñ ki tujh se kaheñ
ḳhvāhishoñ ko sulā chuke kab ke
ab jagānā nahīñ ki tujh se kaheñ
kashtiyāñ saarī ab jalānī haiñ
kuchh bachānā nahīñ ki tujh se kaheñ
ghar hamārā ujaḌ chukā hai 'adīl'
ab basānā nahīñ ki tujh se kaheñ
kuchh batana nahin ki tujh se kahen
dil dukhana nahin ki tujh se kahen
ye nae zawiye hain zaKHmon ke
dil lubhana nahin ki tujh se kahen
ek zamana ki sab kaha tujh se
wo zamana nahin ki tujh se kahen
dil bahalta tha aane jaane se
aana-jaana nahin ki tujh se kahen
kar-e-mushkil hai joDna dil ka
aazmana nahin ki tujh se kahen
hir-ranjha ki ye kahani nahin
ye fasana nahin ki tujh se kahen
KHwahishon ko sula chuke kab ke
ab jagana nahin ki tujh se kahen
kashtiyan sari ab jalani hain
kuchh bachana nahin ki tujh se kahen
ghar hamara ujaD chuka hai 'adil'
ab basana nahin ki tujh se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.