kuchh batao to sahi ab ke tamasha kya hai
kuchh batāo to sahī ab ke tamāshā kyā hai
hoñT par taale lage sab ke tamāshā kyā hai
dil ke ik moḌ pe rahtā hai tamannā kā hujūm
jaane vaale to ga.e kab ke tamāshā kyā hai
zulm Dhaao yā banā Daalo mohabbat kā safīr
ham nahīñ rahte kahīñ dab ke tamāshā kyā hai
jis kī ḳhāmoshī se niklā hai sahar kā sūraj
ham musāfir haiñ usī shab ke tamāshā kyā hai
rañg maddham haiñ magar pyaar kī ḳhushbū na ga.ī
phuul taaza haiñ tirī chhab ke tamāshā kyā hai
dard ke saaz pe ham ne bhī ġhazal-ḳhvānī kī
giit likkhe haiñ tire lab ke tamāshā kyā hai
tum to duniyā ho badalnā hai vatīra terā
ham kahāñ bande tere Dhab ke tamāshā kyā hai
sirf tum hī to bulandī pe nahīñ ho taaro
ham bhī 'manzar' haiñ usī rab ke tamāshā kyā hai
kuchh batao to sahi ab ke tamasha kya hai
honT par tale lage sab ke tamasha kya hai
dil ke ek moD pe rahta hai tamanna ka hujum
jaane wale to gae kab ke tamasha kya hai
zulm Dhao ya bana Dalo mohabbat ka safir
hum nahin rahte kahin dab ke tamasha kya hai
jis ki KHamoshi se nikla hai sahar ka suraj
hum musafir hain usi shab ke tamasha kya hai
rang maddham hain magar pyar ki KHushbu na gai
phul taza hain teri chhab ke tamasha kya hai
dard ke saz pe hum ne bhi ghazal-KHwani ki
git likkhe hain tere lab ke tamasha kya hai
tum to duniya ho badalna hai watira tera
hum kahan bande tere Dhab ke tamasha kya hai
sirf tum hi to bulandi pe nahin ho taro
hum bhi 'manzar' hain usi rab ke tamasha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.