kuchh bhi achchha nahin hua mere sath
kuchh bhī achchhā nahīñ huā mire saath
jab se tū ne kiyā gila mere saath
sochtā thā ki vo mirā hai faqat
jis ne achchhā nahīñ kiyā mire saath
us ko mā'lūm thā ġharīb huuñ maiñ
'ishq kā Dhoñg kyoñ rachā mire saath
tum par ab pyaar aa rahā hai mujhe
kuchh to kar dījiye burā mire saath
sab ne 'parvez' se nazar pherī
vo akelā thā jo hañsā mire saath
kuchh bhi achchha nahin hua mere sath
jab se tu ne kiya gila mere sath
sochta tha ki wo mera hai faqat
jis ne achchha nahin kiya mere sath
us ko ma'lum tha gharib hun main
'ishq ka Dhong kyon racha mere sath
tum par ab pyar aa raha hai mujhe
kuchh to kar dijiye bura mere sath
sab ne 'parwez' se nazar pheri
wo akela tha jo hansa mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.