kuchh bhi ho jae main asbab nahin dekhunga
kuchh bhī ho jaa.e maiñ asbāb nahīñ dekhūñgā
tujh se milne ke kabhī ḳhvāb nahīñ dekhūñgā
chup rahūñgā maiñ bhare majma' meñ lekin mire dost
ḳhauf-o-dahshat-zada ā'sāb nahīñ dekhūñgā
yūñhī ḳhāmosh rahūñgā maiñ tirī mahfil meñ
tujh ko hotā huā betāb nahīñ dekhūñgā
maiñ bhī is ḳhāna-badoshī kī suhūlat ke tufail
dil ke sahrā meñ kabhī aab nahīñ dekhūñgā
roz dekhūñgā mohabbat ke fasānoñ ko 'nadīm'
apnī ḳhush-fahmī ke abvāb nahīñ dekhūñgā
kuchh bhi ho jae main asbab nahin dekhunga
tujh se milne ke kabhi KHwab nahin dekhunga
chup rahunga main bhare majma' mein lekin mere dost
KHauf-o-dahshat-zada aa'sab nahin dekhunga
yunhi KHamosh rahunga main teri mahfil mein
tujh ko hota hua betab nahin dekhunga
main bhi is KHana-badoshi ki suhulat ke tufail
dil ke sahra mein kabhi aab nahin dekhunga
roz dekhunga mohabbat ke fasanon ko 'nadim'
apni KHush-fahmi ke abwab nahin dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.