kuchh bhi ho mujhko haar gawara kabhi nahin
kuchh bhī ho mujh ko haar gavāra kabhī nahīñ
vo kyā hai koī khel meñ haarā kabhī nahīñ
darpesh zindagī ko ka.ī hādse rahe
lekin kisī madad ko pukārā kabhī nahīñ
ye iztirāb-e-rūh hai yā jism kā sukūñ
dariyā ko sochtā huuñ kinārā kabhī nahīñ
jaisā kisī ne mujh ko pukārā maiñ ban gayā
kirdār apnā koī bhī maarā kabhī nahīñ
merī to aise 'ishq se tauba qubūl kar
har saañs kah rahī hai dobārā kabhī nahīñ
kuchh bhi ho mujh ko haar gawara kabhi nahin
wo kya hai koi khel mein haara kabhi nahin
darpesh zindagi ko kai hadse rahe
lekin kisi madad ko pukara kabhi nahin
ye iztirab-e-ruh hai ya jism ka sukun
dariya ko sochta hun kinara kabhi nahin
jaisa kisi ne mujh ko pukara main ban gaya
kirdar apna koi bhi mara kabhi nahin
meri to aise 'ishq se tauba qubul kar
har sans kah rahi hai dobara kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.