kuchh bhi kar guzarne mein der kitni lagti hai
kuchh bhī kar guzarne meñ der kitnī lagtī hai
barf ke pighalne meñ der kitnī lagtī hai
us ne hañs ke dekhā to muskurā diye ham bhī
zaat se nikalne meñ der kitnī lagtī hai
hijr kī tamāzat se vasl ke alaao tak
laḌkiyoñ ke jalne meñ der kitnī lagtī hai
baat jaisī be-ma.anī baat aur kyā hogī
baat ke mukarne meñ der kitnī lagtī hai
zo'm kitnā karte ho ik charāġh par apne
aur havā ke chalne meñ der kitnī lagtī hai
jab yaqīñ kī bāñhoñ par shak ke paañv paḌ jaa.eñ
chūḌiyāñ bikharne meñ der kitnī lagnī hai
kuchh bhi kar guzarne mein der kitni lagti hai
barf ke pighalne mein der kitni lagti hai
us ne hans ke dekha to muskura diye hum bhi
zat se nikalne mein der kitni lagti hai
hijr ki tamazat se wasl ke alao tak
laDkiyon ke jalne mein der kitni lagti hai
baat jaisi be-mani baat aur kya hogi
baat ke mukarne mein der kitni lagti hai
zo'm kitna karte ho ek charagh par apne
aur hawa ke chalne mein der kitni lagti hai
jab yaqin ki banhon par shak ke panw paD jaen
chuDiyan bikharne mein der kitni lagni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.