kuchh bhi kar sakta nahin tadbir se
kuchh bhi kar sakta nahin tadbir se
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
kuchh bhī kar saktā nahīñ tadbīr se
aadmī majbūr hai taqdīr se
TukḌe kyoñ karte ho dil shamshīr se
toḌo ye shīsha nigah ke tiir se
jam sakī rangat na bazm-e-ġhair meñ
ukhḌī ukhḌī aap kī taqrīr se
āshiqoñ par zulm karne ke sivā
aur kyā aatā hai charḳh-e-pīr se
kyoñ murīd-e-ishq ai vahshat na huuñ
silsila miltā hai ye zanjīr se
lo tavāzo kā kamānoñ se sabaq
raah karnā dil meñ sīkho tiir se
qābil-e-teġh-e-adā kyā ham nahīñ
kāTte ho kyoñ galā shamshīr se
ye tamanna hai ki dekhā hī karūñ
jī bahaltā hai tirī tasvīr se
hai ye naqsha chaar din ke hijr meñ
shakl ab miltī nahīñ tasvīr se
le ke dil un kī dilerī dekhiye
kaise aa baiThe haiñ be-taqsīr se
vasl kī shab meñ bhī uljhan hī rahī
aap kī uljhī huī taqdīr se
zabt kab tak ek din āḳhir tujhe
khīñch leñge aah kī tāsīr se
aaj fikr-e-ġhair meñ jaatā thā maiñ
mil ga.e vo ḳhūbī-e-taqdīr se
aaḌ meñ un kī falak bach bach gayā
varna dabte haiñ javāñ kab piir se
e'tirāzoñ par tule haiñ kyoñ harīf
'bazm' kyā hāsil hai is taqdīr se
maiñ to dil-dāda fasāhat kā huuñ 'bazm'
kyoñ na ho ulfat kalām-e-'mīr' se
kuchh bhi kar sakta nahin tadbir se
aadmi majbur hai taqdir se
TukDe kyon karte ho dil shamshir se
toDo ye shisha nigah ke tir se
jam saki rangat na bazm-e-ghair mein
ukhDi ukhDi aap ki taqrir se
aashiqon par zulm karne ke siwa
aur kya aata hai charKH-e-pir se
kyon murid-e-ishq ai wahshat na hun
silsila milta hai ye zanjir se
lo tawazo ka kamanon se sabaq
rah karna dil mein sikho tir se
qabil-e-tegh-e-ada kya hum nahin
kaTte ho kyon gala shamshir se
ye tamanna hai ki dekha hi karun
ji bahalta hai teri taswir se
hai ye naqsha chaar din ke hijr mein
shakl ab milti nahin taswir se
le ke dil un ki dileri dekhiye
kaise aa baiThe hain be-taqsir se
wasl ki shab mein bhi uljhan hi rahi
aap ki uljhi hui taqdir se
zabt kab tak ek din aaKHir tujhe
khinch lenge aah ki tasir se
aaj fikr-e-ghair mein jata tha main
mil gae wo KHubi-e-taqdir se
aaD mein un ki falak bach bach gaya
warna dabte hain jawan kab pir se
e'tiraazon par tule hain kyon harif
'bazm' kya hasil hai is taqdir se
main to dil-dada fasahat ka hun 'bazm'
kyon na ho ulfat kalam-e-'mir' se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.