kuchh bhi mila na mujhko ye sab falah kar ke
kuchh bhī milā na mujh ko ye sab falāh kar ke
ab dekhnā hai mujh ko ye dil tabāh kar ke
hotā nahīñ mayassar maiñ ik jagah kahīñ par
tū de jagah mujhe ab ye dil panāh kar ke
ab dekh kar jo us ko duniyā ye jal rahī hai
dikhlā rahā huuñ us ko maiñ rashk-e-māh kar ke
vo husn par takabbur aa hī gayā use phir
iz.hār-e-'ishq mukrā jo vaah vaah kar ke
rotī rahī mohabbat merī sadā bichhaḌ kar
pachhtā rahā huuñ maiñ ab aisā gunāh kar ke
kuchh bhi mila na mujh ko ye sab falah kar ke
ab dekhna hai mujh ko ye dil tabah kar ke
hota nahin mayassar main ek jagah kahin par
tu de jagah mujhe ab ye dil panah kar ke
ab dekh kar jo us ko duniya ye jal rahi hai
dikhla raha hun us ko main rashk-e-mah kar ke
wo husn par takabbur aa hi gaya use phir
izhaar-e-'ishq mukra jo wah wah kar ke
roti rahi mohabbat meri sada bichhaD kar
pachhta raha hun main ab aisa gunah kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.