kuchh bhi nahin hai kya pas-e-diwar dekhna
kuchh bhī nahīñ hai kyā pas-e-dīvār dekhnā
saa.e ko Dūbte hue har baar dekhnā
aurat huuñ merī maañ ne sikhāyā ki umr bhar
ā.īna ban ke ā.ina-bardār dekhnā
ye soch kar hī maiñ ne jalāyā nahīñ charāġh
kyā raushnī ko barsar-e-paikār dekhnā
maiñ to charāġh-e-shab thī chalo bujh ga.ī magar
tum to sahar ke ḳhair se āsār dekhnā
jab e'tibār-e-dīda-e-dil uTh gayā to phir
kyā rah gayā hai yār-e-tarah-dār dekhnā
'zaryāb' kyā ḳharīdne niklī ho dhuup meñ
kyā garmiyoñ meñ garmī-e-bāzār dekhnā
kuchh bhi nahin hai kya pas-e-diwar dekhna
sae ko Dubte hue har bar dekhna
aurat hun meri man ne sikhaya ki umr bhar
aaina ban ke aaina-bardar dekhna
ye soch kar hi main ne jalaya nahin charagh
kya raushni ko barsar-e-paikar dekhna
main to charagh-e-shab thi chalo bujh gai magar
tum to sahar ke KHair se aasar dekhna
jab e'tibar-e-dida-e-dil uTh gaya to phir
kya rah gaya hai yar-e-tarah-dar dekhna
'zaryab' kya KHaridne nikli ho dhup mein
kya garmiyon mein garmi-e-bazar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.