kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se
kuchh bhī samajh na pāoge mere bayān se
dekhā bhī hai zamīñ ko kabhī āsmān se
ham raushnī kī bhiik nahīñ māñgte kabhī
jugnū nikālte haiñ añdheroñ kī kaan se
mahsūs kar rahī hai zamīñ apne sar pe bojh
miTTī khisak ke girne lagī hai chaTān se
hañstī huī bahār kā chehra utar gayā
bārūd ban ke lafz jo nikle zabān se
ham kyuuñ banā rahe haiñ unheñ apnā rahnumā
jo khelte haiñ roz hamārī hī jaan se
qīmat lagā rahe haiñ hamāre lahū kī vo
aur chāhte haiñ uf na kareñ ham zabān se
karnā hai apne ġham kā izāla bhī ḳhud hameñ
bārish na hogī amn kī ab āsmān se
kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se
dekha bhi hai zamin ko kabhi aasman se
hum raushni ki bhik nahin mangte kabhi
jugnu nikalte hain andheron ki kan se
mahsus kar rahi hai zamin apne sar pe bojh
miTTi khisak ke girne lagi hai chaTan se
hansti hui bahaar ka chehra utar gaya
barud ban ke lafz jo nikle zaban se
hum kyun bana rahe hain unhen apna rahnuma
jo khelte hain roz hamari hi jaan se
qimat laga rahe hain hamare lahu ki wo
aur chahte hain uf na karen hum zaban se
karna hai apne gham ka izala bhi KHud hamein
barish na hogi amn ki ab aasman se
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 664)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.