kuchh bhi to ho saka na raqam ehtiyat se
kuchh bhī to ho sakā na raqam ehtiyāt se
har chand uTh rahā thā qalam ehtiyāt se
kyā ḳhuub ittifāq hai Thokar vahīñ lagī
rakkhe jahāñ jahāñ bhī qadam ehtiyāt se
ham duur duur rah ke bhī kuchh muttahid se haiñ
kuchh yuuñ kiye haiñ tū ne sitam ehtiyāt se
tere karam kī ek nishānī hī to hai ye
dil se lagā.e baiThe haiñ ġham ehtiyāt se
'fahmī' havā meñ zahr ghulā hai kuchh is qadar
lete haiñ ab to saañs bhī ham ehtiyāt se
kuchh bhi to ho saka na raqam ehtiyat se
har chand uTh raha tha qalam ehtiyat se
kya KHub ittifaq hai Thokar wahin lagi
rakkhe jahan jahan bhi qadam ehtiyat se
hum dur dur rah ke bhi kuchh muttahid se hain
kuchh yun kiye hain tu ne sitam ehtiyat se
tere karam ki ek nishani hi to hai ye
dil se lagae baiThe hain gham ehtiyat se
'fahmi' hawa mein zahr ghula hai kuchh is qadar
lete hain ab to sans bhi hum ehtiyat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.