kuchh bholi aur kuchh tikhi aawazen hain
kuchh bholī aur kuchh tīkhī āvāzeñ haiñ
jaise chehre haiñ vaisī āvāzeñ haiñ
ik tathīr se aarī jism kā pursa haiñ
ḳhauf meñ lipTī jitnī bhī āvāzeñ haiñ
chāroñ-jānib ghor añdherā hai jis meñ
āThoñ jānib sunñe kī āvāzeñ haiñ
aisā mahv huuñ ḳhāmoshī ko sunñe meñ
maano mujh se pahle kī āvāzeñ haiñ
ghuur rahā huuñ kānoñ kī vīrānī ko
chīḳh rahā huuñ kyā gūñgī āvāzeñ haiñ
itnī vahshat taarī huī ki bhuul ga.e
ye to apnī imdādī āvāzeñ haiñ
chauñk rahā huuñ mere vīrāñ kamre meñ
koī nahīñ hai phir kaisī āvāzeñ haiñ
āvāzoñ kā jamnā is se sābit hai
jaise ham ḳhāmoshī kī āvāzeñ haiñ
dost hamāre paas izāfī kuchh bhī nahīñ
martī siskiyāñ haiñ dabtī āvāzeñ haiñ
kuchh bholi aur kuchh tikhi aawazen hain
jaise chehre hain waisi aawazen hain
ek tathir se aari jism ka pursa hain
KHauf mein lipTi jitni bhi aawazen hain
chaaron-jaanib ghor andhera hai jis mein
aaThon jaanib sunne ki aawazen hain
aisa mahw hun KHamoshi ko sunne mein
mano mujh se pahle ki aawazen hain
ghur raha hun kanon ki virani ko
chiKH raha hun kya gungi aawazen hain
itni wahshat tari hui ki bhul gae
ye to apni imdadi aawazen hain
chaunk raha hun mere viran kamre mein
koi nahin hai phir kaisi aawazen hain
aawazon ka jamna is se sabit hai
jaise hum KHamoshi ki aawazen hain
dost hamare pas izafi kuchh bhi nahin
marti siskiyan hain dabti aawazen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.