kuchh bhulne ke jaise alawa bhula diya
kuchh bhūlne ke jaise alāva bhulā diyā
aapas meñ mil ke rastoñ ne rasta bhulā diyā
qissa sunāyā būḌhe ne apne zamāne kā
qissa sunā ke sab ko zamāna bhulā diyā
jaate hue bhī jiit liyā us ne haarā ishq
royā vo is qadar mujhe ronā bhulā diyā
itnā ajiib husn thā us husn-e-nāz kā
āñkhoñ ko dekhne kā tarīqa bhulā diyā
tab se ḳhatā bhī lagtī nahīñ hai ḳhatā mujhe
Dar ḳhauf jab se maiñ ne sazā kā bhulā diyā
kuchh bhulne ke jaise alawa bhula diya
aapas mein mil ke raston ne rasta bhula diya
qissa sunaya buDhe ne apne zamane ka
qissa suna ke sab ko zamana bhula diya
jate hue bhi jit liya us ne haara ishq
roya wo is qadar mujhe rona bhula diya
itna ajib husn tha us husn-e-naz ka
aankhon ko dekhne ka tariqa bhula diya
tab se KHata bhi lagti nahin hai KHata mujhe
Dar KHauf jab se main ne saza ka bhula diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.