kuchh chakhane ko uske mal to ho
kuchh chakhāne ko us ke maal to ho
na ho sālan chane kī daal to ho
bazm-e-zindāñ meñ laao zāhid ko
paas sheroñ ke ik shaġhāl to ho
bhejūñ us naujavāñ ke paas kise
koī mashshāta pīr-e-zāl to ho
apne qāsid ko kyā maiñ ḳhil.at duuñ
go do-shāla na ho to shawl to ho
ek do ḳhum se hogā kyā saaqī
mere piine ko ik pakhāl to ho
ghar meñ apne maiñ Daal luuñ un ko
par mire paas maal Taal to ho
mere khāne ko sūkhe TukḌe hoñ
un ke khāne ko shīrmāl to ho
holī vo khelne ko aate haiñ
kuchh na milne ko ho gulāl to ho
lambe bāloñ pe jab maiñ āshiq huuñ
merī chañdiyā meñ ek baal to ho
shaiḳh jī ke junūñ kā jab ho ilaaj
qasd ke vāste kudāl to ho
kis tarah kaate nā.ika charḳha
sūkhī chamraḳh na ho to maal to ho
vajd kartā huuñ un kī mahfil meñ
taaki ma.alūm merā haal to ho
un kā pīchhā maiñ jab karūñ yaaro
pahle mujh meñ koī kamāl to ho
nashsha paanī kare 'ināyat' kyā
bhang vaalā na ho kalāl to ho
kuchh chakhane ko us ke mal to ho
na ho salan chane ki dal to ho
bazm-e-zindan mein lao zahid ko
pas sheron ke ek shaghaal to ho
bhejun us naujawan ke pas kise
koi mashshata pir-e-zal to ho
apne qasid ko kya main KHilat dun
go do-shaala na ho to shawl to ho
ek do KHum se hoga kya saqi
mere pine ko ek pakhaal to ho
ghar mein apne main Dal lun un ko
par mere pas mal Tal to ho
mere khane ko sukhe TukDe hon
un ke khane ko shirmal to ho
holi wo khelne ko aate hain
kuchh na milne ko ho gulal to ho
lambe baalon pe jab main aashiq hun
meri chandiya mein ek baal to ho
shaiKH ji ke junun ka jab ho ilaj
qasd ke waste kudal to ho
kis tarah kate naika charKHa
sukhi chamraKH na ho to mal to ho
wajd karta hun un ki mahfil mein
taki malum mera haal to ho
un ka pichha main jab karun yaro
pahle mujh mein koi kamal to ho
nashsha pani kare 'inayat' kya
bhang wala na ho kalal to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.