kuchh dard hai mutribon ki lai mein
kuchh dard hai mutriboñ kī lai meñ
kuchh aag bharī huī hai nai meñ
kuchh zahr ugal rahī hai bulbul
kuchh zahr milā huā hai mai meñ
bad-mast jahān ho rahā hai
hai yaar kī bū har ek shai meñ
hai mastī-e-nīm-ḳhām kā Dar
isrār hai jām-e-pai-ba-pai meñ
mai-ḳhāna-nashīñ qadam na rakkheñ
bazm-e-jam o bārgāh-e-kai meñ
ab tak zinda hai naam vaañ kā
guzrā hai husain ek ''hai'' meñ
hotī nahīñ tai hikāyat-e-''tai''
guzrā hai karīm ek ''tai'' meñ
kuchh 'shefta' ye ġhazal hai aafat
kuchh dard hai mutriboñ kī lai meñ
kuchh dard hai mutribon ki lai mein
kuchh aag bhari hui hai nai mein
kuchh zahr ugal rahi hai bulbul
kuchh zahr mila hua hai mai mein
bad-mast jahan ho raha hai
hai yar ki bu har ek shai mein
hai masti-e-nim-KHam ka Dar
israr hai jam-e-pai-ba-pai mein
mai-KHana-nashin qadam na rakkhen
bazm-e-jam o bargah-e-kai mein
ab tak zinda hai nam wan ka
guzra hai husain ek hai mein
hoti nahin tai hikayat-e-tai
guzra hai karim ek tai mein
kuchh 'shefta' ye ghazal hai aafat
kuchh dard hai mutribon ki lai mein
- Book : intekhab-e-zarrin (Pg. 135)
- Author : Khvaja Mohammad Zakariya
- Publication : Sangeet publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.