kuchh der to Dare teri jadugari se hum
kuchh der to Dare tirī jādūgarī se ham
phir dekhne lage tujhe sanjīdgī se ham
tā-'umr tīrgī ne nibhā.ī hai dostī
kyoñ iltijā kareñ tū batā raushnī se ham
jo bhī milā vo rakh liyā ham ne sahej kar
ab aur kyā hī māñgte is 'āshiqī se ham
pahle-pahal to laḌ liye allāh se magar
ab pesh aa rahe haiñ baḌī 'ājizī se ham
ye jānte haiñ ham yā ḳhudā jāntā hai bas
kaise nikal ke aa.e haiñ us tīrgī se ham
ab kyoñ 'amān' DhūñDhte haiñ us ko dar-ba-dar
jis ko nikāl pheñk chuke zindagī se ham
kuchh der to Dare teri jadugari se hum
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se hum
ta-'umr tirgi ne nibhai hai dosti
kyon iltija karen tu bata raushni se hum
jo bhi mila wo rakh liya hum ne sahej kar
ab aur kya hi mangte is 'ashiqi se hum
pahle-pahal to laD liye allah se magar
ab pesh aa rahe hain baDi 'ajizi se hum
ye jaante hain hum ya KHuda jaanta hai bas
kaise nikal ke aae hain us tirgi se hum
ab kyon 'aman' DhunDhte hain us ko dar-ba-dar
jis ko nikal phenk chuke zindagi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.