kuchh der uski lash pe rona kiya tha bas
kuchh der us kī laash pe ronā kiyā thā bas
ik phuul man ke baaġh kā murjhā chukā thā bas
jo saarī kā.enāt meñ apnā rafīq thā
mere liye malūl vo harf-e-duā thā bas
jab merā saath chhoḌ ga.e mere apne log
be-shakl sā ḳhayāl mirā ham-navā thā bas
duniyā agar udaas hai tum kyoñ udaas ho
ye ik savāl aañkh ko chhalkā gayā thā bas
har shaḳhs apne aap se chhupne kī dhun meñ thā
is shahr par 'duā' koī saayā huā thā bas
kuchh der us ki lash pe rona kiya tha bas
ek phul man ke bagh ka murjha chuka tha bas
jo sari kaenat mein apna rafiq tha
mere liye malul wo harf-e-dua tha bas
jab mera sath chhoD gae mere apne log
be-shakl sa KHayal mera ham-nawa tha bas
duniya agar udas hai tum kyon udas ho
ye ek sawal aankh ko chhalka gaya tha bas
har shaKHs apne aap se chhupne ki dhun mein tha
is shahr par 'dua' koi saya hua tha bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.