kuchh dil-nashin yaaden bhi hain kuchh dard ka rishta bhi hai
kuchh dil-nashin yaaden bhi hain kuchh dard ka rishta bhi hai
Naeem Sameer
MORE BYNaeem Sameer
kuchh dil-nashīñ yādeñ bhī haiñ kuchh dard kā rishta bhī hai
maiñ kis tarah bhūloñ use vo umr kā hissa bhī hai
ġham meñ ḳhushī kī lahr kyoñ āsūdgī meñ zahr kyoñ
is soch meñ dariyā bhī hai is fikr meñ sahrā bhī hai
vo vahm kī tahrīr hai vo ḳhvāb kī tasvīr hai
maiñ ne use dekhā nahīñ maiñ ne use dekhā bhī hai
kab tak maiñ apne aap se laḌtā rahūñ laḌtā rahūñ
maiñ āḳhirash insān huuñ insān to thaktā bhī hai
nafrat kisī kī yaad se vahshat ḳhud apne aap se
vaise to yuuñ hotā nahīñ lekin kabhī hotā bhī hai
ab to 'samīr' is dasht meñ rahnā hai mujh ko umr bhar
ye āḳhirī manzil nahīñ ye āḳhirī rasta bhī hai
kuchh dil-nashin yaaden bhi hain kuchh dard ka rishta bhi hai
main kis tarah bhulon use wo umr ka hissa bhi hai
gham mein KHushi ki lahr kyon aasudgi mein zahr kyon
is soch mein dariya bhi hai is fikr mein sahra bhi hai
wo wahm ki tahrir hai wo KHwab ki taswir hai
main ne use dekha nahin main ne use dekha bhi hai
kab tak main apne aap se laDta rahun laDta rahun
main aaKHirash insan hun insan to thakta bhi hai
nafrat kisi ki yaad se wahshat KHud apne aap se
waise to yun hota nahin lekin kabhi hota bhi hai
ab to 'samir' is dasht mein rahna hai mujh ko umr bhar
ye aaKHiri manzil nahin ye aaKHiri rasta bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.