kuchh din hawa-e-be-sar-o-saman ke sath bhi
kuchh din havā-e-be-sar-o-sāmāñ ke saath bhī
sāñsoñ kā kārvāñ liye tūfāñ ke saath bhī
ārā.ish-e-visāl pe kyoñ itnā shaad ho
ye jhuuT to hai shorish-e-hijrāñ ke saath bhī
dil hai to dil ke saath haiñ sab kārobār-e-dard
jī hī to leñge hasrat-e-vīrāñ ke saath bhī
ham vo musāfirān-e-azal haiñ ki har ghaḌī
dariyā ke saath bhī haiñ bayābāñ ke saath bhī
kuchh duur chal ke lauT ke aane kī zid pe hai
dil kārvān-e-ahl-e-bahārāñ ke saath bhī
kuchh din hawa-e-be-sar-o-saman ke sath bhi
sanson ka karwan liye tufan ke sath bhi
aaraish-e-visal pe kyon itna shad ho
ye jhuT to hai shorish-e-hijran ke sath bhi
dil hai to dil ke sath hain sab karobar-e-dard
ji hi to lenge hasrat-e-viran ke sath bhi
hum wo musafiran-e-azal hain ki har ghaDi
dariya ke sath bhi hain bayaban ke sath bhi
kuchh dur chal ke lauT ke aane ki zid pe hai
dil karwan-e-ahl-e-bahaaran ke sath bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.