kuchh dinon se hansi ki zad mein hai
kuchh dinoñ se hañsī kī zad meñ hai
dil-e-ġham bebasī kī zad meñ hai
zindagī kā tumheñ batā.eñ kyā
zindagī zindagī kī zad meñ hai
pyaas sī kyā hai ye darūn-e-jāñ
ruuh kis tishnagī kī zad meñ hai
muddatoñ se bahut udaas hai dil
jaane ye kis kamī kī zad meñ hai
chārāgar aaj dil kā haal na pūchh
aaj dil be-dilī kī zad meñ hai
mujh ko mat ham-safar banā ki mirī
zaat āvārgī kī zad meñ hai
ye mirā haal jo sañvartā nahīñ
ye tirī be-ruḳhī kī zad meñ hai
har kisī meñ hai shor ik barpā
har koī ḳhāmushī kī zad meñ hai
jaane ab kis tarah kaTe 'abbās'
zindagī rah-ravī kī zad meñ hai
kuchh dinon se hansi ki zad mein hai
dil-e-gham bebasi ki zad mein hai
zindagi ka tumhein bataen kya
zindagi zindagi ki zad mein hai
pyas si kya hai ye darun-e-jaan
ruh kis tishnagi ki zad mein hai
muddaton se bahut udas hai dil
jaane ye kis kami ki zad mein hai
chaaragar aaj dil ka haal na puchh
aaj dil be-dili ki zad mein hai
mujh ko mat ham-safar bana ki meri
zat aawargi ki zad mein hai
ye mera haal jo sanwarta nahin
ye teri be-ruKHi ki zad mein hai
har kisi mein hai shor ek barpa
har koi KHamushi ki zad mein hai
jaane ab kis tarah kaTe 'abbas'
zindagi rah-rawi ki zad mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.