kuchh dinon tak hi shanasai rahi
kuchh dinoñ tak hī shanāsā.ī rahī
phir merī shab merī tanhā.ī rahī
raunaq-e-mahfil na aa.ī kaam kuchh
zindagī jab ḳhud se uktā.ī rahī
vaqt-e-ruḳhsat ḳhuub hī barsī magar
āñkhoñ meñ ġham kī ghaTā chhā.ī rahī
dhīre dhīre zaḳhm āḳhir bhar ga.e
bas zarā sūrat hī kajlā.ī rahī
chalte chalte kho ga.e manzar kahīñ
aañkh jin kī bhī tamannā.ī rahī
Dhal gayā sūraj ujāle chhīn kar
raat ke sar bazm-ārā.ī rahī
yaad aa.egī kahāñ us ko 'suman'
'ishq meñ ab vo na gahrā.ī rahī
kuchh dinon tak hi shanasai rahi
phir meri shab meri tanhai rahi
raunaq-e-mahfil na aai kaam kuchh
zindagi jab KHud se uktai rahi
waqt-e-ruKHsat KHub hi barsi magar
aankhon mein gham ki ghaTa chhai rahi
dhire dhire zaKHm aaKHir bhar gae
bas zara surat hi kajlai rahi
chalte chalte kho gae manzar kahin
aankh jin ki bhi tamannai rahi
Dhal gaya suraj ujale chhin kar
raat ke sar bazm-arai rahi
yaad aaegi kahan us ko 'suman'
'ishq mein ab wo na gahrai rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.