kuchh dua mein asar to aaega
kuchh duā meñ asar to aa.egā
dhuup meñ ik shajar to aa.egā
un ke hisse khaḌī hai manzil phir
mere hissa safar to aa.egā
dhīre dhīre sabhī kī hastī par
vo qazā kā guzar to aa.egā
ye ḳhalā ye udāsiyoñ kā chalan
dard se dil ye bhar to aa.egā
hausla jab uḌaan pakḌegā
toḌne phir bashar to aa.egā
jab bhī dekhoge band āñkhoñ se
aks merā nazar to aa.egā
'sārthī' ġham kī dāstāñ meñ sadā
āñsuoñ kā basar to aa.egā
kuchh dua mein asar to aaega
dhup mein ek shajar to aaega
un ke hisse khaDi hai manzil phir
mere hissa safar to aaega
dhire dhire sabhi ki hasti par
wo qaza ka guzar to aaega
ye KHala ye udasiyon ka chalan
dard se dil ye bhar to aaega
hausla jab uDan pakDega
toDne phir bashar to aaega
jab bhi dekhoge band aankhon se
aks mera nazar to aaega
'sarthi' gham ki dastan mein sada
aansuon ka basar to aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.