kuchh etimad ka lahja bhi fikr-o-fan se mila
kuchh e'timād kā lahja bhī fikr-o-fan se milā
ye silsila to mujhe 'mīr' ke suḳhan se milā
bikhar bikhar ke maiñ simTā huuñ ek markaz par
ye hausla to mujhe tere husn-e-zan se milā
ajiib taur se tū ne sadā lagā.ī thī
bas ek karb-e-musalsal tire suḳhan se milā
tirā ḳhayāl mujhe dastakeñ to detā thā
tirā patā mujhe ḳhushbū-e-pairahan se milā
maiñ bujh gayā thā savād-e-dayār-e-zulmat meñ
charāġh-e-rāh to ummīd kī kiran se milā
bhaTak rahā thā 'majīdī' shab-e-judā.ī meñ
charāġh-e-zīst mujhe husn-e-gul-badan se milā
kuchh e'timad ka lahja bhi fikr-o-fan se mila
ye silsila to mujhe 'mir' ke suKHan se mila
bikhar bikhar ke main simTa hun ek markaz par
ye hausla to mujhe tere husn-e-zan se mila
ajib taur se tu ne sada lagai thi
bas ek karb-e-musalsal tere suKHan se mila
tera KHayal mujhe dastaken to deta tha
tera pata mujhe KHushbu-e-pairahan se mila
main bujh gaya tha sawad-e-dayar-e-zulmat mein
charagh-e-rah to ummid ki kiran se mila
bhaTak raha tha 'majidi' shab-e-judai mein
charagh-e-zist mujhe husn-e-gul-badan se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.