kuchh ehtimam safar ka zarur karna hai
kuchh ehtimām safar kā zarūr karnā hai
ki us ke shahr se ho kar mujhe guzarnā hai
maiñ chup nahīñ huuñ kisī maslahat ke pesh-e-nazar
maiñ jāntā huuñ kahāñ iḳhtilāf karnā hai
hamāre jism se patthar bañdhe hue haiñ magar
samundaroñ kī tahoñ se hameñ ubharnā hai
phisal rahī hai javānī kī ret muTThī se
guzar rahe haiñ mire din inheñ guzarnā hai
ye kā.enāt kī tasvīr nā-mukammal hai
abhī to is meñ bahut rañg us ne bharnā hai
mirā mizāj nahīñ hai magar mujhe 'faizān'
kisī ke vāste ik ahd se mukarnā hai
kuchh ehtimam safar ka zarur karna hai
ki us ke shahr se ho kar mujhe guzarna hai
main chup nahin hun kisi maslahat ke pesh-e-nazar
main jaanta hun kahan iKHtilaf karna hai
hamare jism se patthar bandhe hue hain magar
samundaron ki tahon se hamein ubharna hai
phisal rahi hai jawani ki ret muTThi se
guzar rahe hain mere din inhen guzarna hai
ye kaenat ki taswir na-mukammal hai
abhi to is mein bahut rang us ne bharna hai
mera mizaj nahin hai magar mujhe 'faizan'
kisi ke waste ek ahd se mukarna hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 422)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.