kuchh gham-e-zist ke aalam abhi baqi hain
kuchh gham-e-zist ke aalam abhi baqi hain
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
kuchh ġham-e-zīst ke ālām abhī baaqī haiñ
zindagī tere liye kaam abhī baaqī haiñ
jin se vābasta hai shohrat tire mai-ḳhāne kī
aise TuuTe hue kuchh jaam abhī baaqī haiñ
shab kī tārīkī ne duniyā kī bahāreñ lūTīñ
āshnā-e-sahar-o-shām abhī baaqī haiñ
ham ne sayyād ko gulshan se nikālā hai magar
chār-sū phaile hue daam abhī baaqī haiñ
ḳhaar gulshan se nikāle ga.e lekin vo gul
jin se gulshan huā badnām abhī baaqī haiñ
kab idhar uTThegī tū ai nigah-e-shauq batā
kitne paiġhām tire naam abhī baaqī haiñ
ruk gayā aa ke kahāñ rāh-e-talab meñ 'anjum'
pa.e-manzil tire do-gām abhī baaqī haiñ
kuchh gham-e-zist ke aalam abhi baqi hain
zindagi tere liye kaam abhi baqi hain
jin se wabasta hai shohrat tere mai-KHane ki
aise TuTe hue kuchh jam abhi baqi hain
shab ki tariki ne duniya ki bahaaren luTin
aashna-e-sahar-o-sham abhi baqi hain
hum ne sayyaad ko gulshan se nikala hai magar
chaar-su phaile hue dam abhi baqi hain
KHar gulshan se nikale gae lekin wo gul
jin se gulshan hua badnam abhi baqi hain
kab idhar uTThegi tu ai nigah-e-shauq bata
kitne paigham tere nam abhi baqi hain
ruk gaya aa ke kahan rah-e-talab mein 'anjum'
pae-manzil tere do-gam abhi baqi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.