kuchh gham ka gham hua na KHushi ki KHushi hui
kuchh ġham kā ġham huā na ḳhushī kī ḳhushī huī
kis rāhat-o-sukūñ se basar zindagī huī
us be-navā gadā ko shahanshāh jāniye
jis ko nasīb daulat-e-dīvāngī huī
kaise shab-e-firāq kaTī kuchh na pūchhiye
ik dāstāñ hai ranj-o-alam se bharī huī
sajde ko sar jhukā diyā apne hī paañv par
mujh ko jab apnī zaat se kuchh āgahī huī
ḳhud apne husn kī bhī na vo taab lā sakā
jis aadmī ke qalb meñ kuchh raushnī huī
saaqī tire karam kī to kuchh intihā nahīñ
ye aur baat kam na mirī tishnagī huī
furqat meñ bhī nasīb hai mujh ko nashāt-e-qurb
dil meñ kisī kī yaad hai aisī basī huī
'sābir' zabāñ pe harf-e-shikāyat na lā sakā
us kī sarisht meñ hai qanā'at bharī huī
kuchh gham ka gham hua na KHushi ki KHushi hui
kis rahat-o-sukun se basar zindagi hui
us be-nawa gada ko shahanshah jaaniye
jis ko nasib daulat-e-diwangi hui
kaise shab-e-firaq kaTi kuchh na puchhiye
ek dastan hai ranj-o-alam se bhari hui
sajde ko sar jhuka diya apne hi panw par
mujh ko jab apni zat se kuchh aagahi hui
KHud apne husn ki bhi na wo tab la saka
jis aadmi ke qalb mein kuchh raushni hui
saqi tere karam ki to kuchh intiha nahin
ye aur baat kam na meri tishnagi hui
furqat mein bhi nasib hai mujh ko nashat-e-qurb
dil mein kisi ki yaad hai aisi basi hui
'sabir' zaban pe harf-e-shikayat na la saka
us ki sarisht mein hai qana'at bhari hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.