kuchh gham nahin ki ghar ki ye angnai kam hui
kuchh ġham nahīñ ki ghar kī ye añgnā.ī kam huī
dīvār khīñchne se shanāsā.ī kam huī
tujh se bichhaḌ ke aaj bhī zinda to haiñ magar
mahsūs har qadam pe tavānā.ī kam huī
har manzar-e-hayāt pe be-chehragī sī hai
tārīkiyāñ baḌhī haiñ ki bīnā.ī kam huī
shānoñ pe āsmān samundar hai paañv meñ
ūñchā.iyāñ ghaTī haiñ ki gahrā.ī kam huī
ham dostoñ kī tarah rahe saath umr bhar
ye bhī nahīñ ki ma.arka-ārā.ī kam huī
majbūriyoñ ne maslahat-andesh kar diyā
ye kyoñ kaheñ ki hausla-afzā.ī kam huī
tanhā.iyoñ meñ sab the mire mo'tarif magar
mahfil meñ aa gayā to pazīrā.ī kam huī
kuchh gham nahin ki ghar ki ye angnai kam hui
diwar khinchne se shanasai kam hui
tujh se bichhaD ke aaj bhi zinda to hain magar
mahsus har qadam pe tawanai kam hui
har manzar-e-hayat pe be-chehragi si hai
tarikiyan baDhi hain ki binai kam hui
shanon pe aasman samundar hai panw mein
unchaiyan ghaTi hain ki gahrai kam hui
hum doston ki tarah rahe sath umr bhar
ye bhi nahin ki marka-arai kam hui
majburiyon ne maslahat-andesh kar diya
ye kyon kahen ki hausla-afzai kam hui
tanhaiyon mein sab the mere mo'tarif magar
mahfil mein aa gaya to pazirai kam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.