kuchh gharaz hum ko nahin hai ki kahan le jae
kuchh ġharaz ham ko nahīñ hai ki kahāñ le jaa.e
chal diye bas dil-e-dīvāna jahāñ le jaa.e
vo galī ḳhuld se behtar hai bas itnā sun kar
koī vāqif ho to ham ko bhī vahāñ le jaa.e
merī āvāz huī jaatī hai us kī āvāz
ab hai kyā duur ki us tak ye fuġhāñ le jaa.e
mauj-e-sarkash ko ḳhabar-dār kiyā thā ham ne
us ko jaanā thā jahāñ jū-e-ravāñ le jaa.e
gul nahīñ deñge kabhī bulbul-e-muhtāj ko zar
ḳhvāh sarmāya ye sab bād-e-ḳhizāñ le jaa.e
ishq meñ us ke bas ik jaan hai baaqī ye bhī
dekhiye kab ġhazab-e-ham-vatanāñ le jaa.e
merī bāteñ hī ḳhush aatī haiñ use jaise koī
kar ke ātish nazar-andāz dhuāñ le jaa.e
kuchh gharaz hum ko nahin hai ki kahan le jae
chal diye bas dil-e-diwana jahan le jae
wo gali KHuld se behtar hai bas itna sun kar
koi waqif ho to hum ko bhi wahan le jae
meri aawaz hui jati hai us ki aawaz
ab hai kya dur ki us tak ye fughan le jae
mauj-e-sarkash ko KHabar-dar kiya tha hum ne
us ko jaana tha jahan ju-e-rawan le jae
gul nahin denge kabhi bulbul-e-muhtaj ko zar
KHwah sarmaya ye sab baad-e-KHizan le jae
ishq mein us ke bas ek jaan hai baqi ye bhi
dekhiye kab ghazab-e-ham-watanan le jae
meri baaten hi KHush aati hain use jaise koi
kar ke aatish nazar-andaz dhuan le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.