kuchh ghazal ke nazm ke misre uTha laya tha bas
kuchh ġhazal ke nazm ke misre uThā laayā thā bas
TūTte rishta maiñ itnā hī bachā paayā thā bas
yuuñ lagā chalte raheñge 'umr bhar yūñhī magar
vo to mujh ko moḌ tak hī chhoḌne aayā thā bas
bas ḳhayāloñ meñ thī us ke narm hāthoñ kī chhuan
aur tasavvur meñ hī us kī zulf kā saaya thā bas
ḳhvāb kuchh TuuTe hue kuchh nā-mukammal hasrateñ
paas mere 'ishq kā itnā hī sarmāya thā bas
sub.h sūraj kā ujālā maañd thā aisā nahīñ
hijr kī shab kā añdherā aañkh meñ chhāyā thā bas
kuchh ghazal ke nazm ke misre uTha laya tha bas
TuTte rishta main itna hi bacha paya tha bas
yun laga chalte rahenge 'umr bhar yunhi magar
wo to mujh ko moD tak hi chhoDne aaya tha bas
bas KHayalon mein thi us ke narm hathon ki chhuan
aur tasawwur mein hi us ki zulf ka saya tha bas
KHwab kuchh TuTe hue kuchh na-mukammal hasraten
pas mere 'ishq ka itna hi sarmaya tha bas
subh suraj ka ujala mand tha aisa nahin
hijr ki shab ka andhera aankh mein chhaya tha bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.