kuchh hababon ka silsila the hum
kuchh habāboñ kā silsila the ham
kis tamannā kā aa.ina the ham
tum se mil kar samajh meñ aaya hai
aaj tak ḳhud se bhī judā the ham
dil kī sarhad pe jo farozāñ the
un charāġhoñ kā aasrā the ham
dhund meñ Dūbte jazīroñ kī
os khaa.ī huī havā the ham
ḳhud añdheroñ ke saath chalte the
aur sab ke liye diyā the ham
'aks-e-āvāz jis meñ aa.e nazar
aisā shaffāf aa.ina the ham
chal rahe the to qāfila the 'shakīl'
ruk ke dekhā to naqsh-e-pā the ham
kuchh hababon ka silsila the hum
kis tamanna ka aaina the hum
tum se mil kar samajh mein aaya hai
aaj tak KHud se bhi juda the hum
dil ki sarhad pe jo farozan the
un charaghon ka aasra the hum
dhund mein Dubte jaziron ki
os khai hui hawa the hum
KHud andheron ke sath chalte the
aur sab ke liye diya the hum
'aks-e-awaz jis mein aae nazar
aisa shaffaf aaina the hum
chal rahe the to qafila the 'shakil'
ruk ke dekha to naqsh-e-pa the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.