kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain
kuchh haiñ manzar haal ke kuchh ḳhvāb mustaqbil ke haiñ
ye tamannā aañkh kī hai vo taqāze dil ke haiñ
ham ne ye nairañgiyāñ bhī dahr kī dekhīñ ki log
dost haiñ maqtūl ke aur ham-navā qātil ke haiñ
'umr saarī raah ke patthar haTāte kaT ga.ī
zaḳhm mere haath meñ ik sa'i-e-lā-hāsil ke haiñ
ik dhanak lahrā rahī hai āñsuoñ ke darmiyāñ
merī āñkhoñ meñ abhī tak rañg us mahfil ke haiñ
is se aage kaun jaa.e dasht-e-nā-mālūm meñ
ham na kahte the ki saare ham-safar manzil ke haiñ
in ko tūfānoñ se kyā matlab bhañvar se kyā ġharaz
dost jitne haiñ tamāshā.ī faqat sāhil ke haiñ
tū jise apnā samajhtā hai vo māl-e-ġhair hai
tere hāthoñ meñ jo sikke haiñ kisī saa.il ke haiñ
jāñchtī hai ġhair ko har lahza chashm-e-aib-jū
naqsh mujh meñ jitne haiñ saare kisī kāmil ke haiñ
kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain
ye tamanna aankh ki hai wo taqaze dil ke hain
hum ne ye nairangiyan bhi dahr ki dekhin ki log
dost hain maqtul ke aur ham-nawa qatil ke hain
'umr sari rah ke patthar haTate kaT gai
zaKHm mere hath mein ek sa'i-e-la-hasil ke hain
ek dhanak lahra rahi hai aansuon ke darmiyan
meri aankhon mein abhi tak rang us mahfil ke hain
is se aage kaun jae dasht-e-na-malum mein
hum na kahte the ki sare ham-safar manzil ke hain
in ko tufanon se kya matlab bhanwar se kya gharaz
dost jitne hain tamashai faqat sahil ke hain
tu jise apna samajhta hai wo mal-e-ghair hai
tere hathon mein jo sikke hain kisi sail ke hain
jaanchti hai ghair ko har lahza chashm-e-aib-ju
naqsh mujh mein jitne hain sare kisi kaamil ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.