kuchh humse zulmat-e-shab-e-hijran na puchhiye
kuchh ham se zulmat-e-shab-e-hijrāñ na pūchhiye
zaḳhmī diloñ se dard kā unvāñ na pūchhiye
ye naaz ye ġhurūr ye sho.ala-sifat mizāj
kis ḳhaak se banā hai ye insāñ na pūchhiye
hai mausam-e-ḳhizāñ kā tasallut har ek sū
kaise manā.eñ jashn-e-bahārāñ na pūchhiye
ā.īna le ke dekhiye ḳhud apne surḳh lab
hotā hai kaisā la.al-e-badaḳhshāñ na pūchhiye
kyā huuñ kahāñ huuñ kuchh bhī nahīñ hai mujhe ḳhabar
bas ālam-e-tasavvur-e-jānāñ na pūchhiye
jo āshnā-e-rāz-e-gul-o-yāsman na ho
us be-ḳhabar se hāl-e-gulistāñ na pūchhiye
ka.aba gayā kalīsā gayā mai-kada gayā
us bevafā kī diid kā armāñ na pūchhiye
'anjum' nashāt-o-aish meñ guzrī mirī hayāt
ab mujh se merā hāl-e-pareshāñ na pūchhiye
kuchh hum se zulmat-e-shab-e-hijran na puchhiye
zaKHmi dilon se dard ka unwan na puchhiye
ye naz ye ghurur ye shoala-sifat mizaj
kis KHak se bana hai ye insan na puchhiye
hai mausam-e-KHizan ka tasallut har ek su
kaise manaen jashn-e-bahaaran na puchhiye
aaina le ke dekhiye KHud apne surKH lab
hota hai kaisa lal-e-badaKHshan na puchhiye
kya hun kahan hun kuchh bhi nahin hai mujhe KHabar
bas aalam-e-tasawwur-e-jaanan na puchhiye
jo aashna-e-raaz-e-gul-o-yasman na ho
us be-KHabar se haal-e-gulistan na puchhiye
kaba gaya kalisa gaya mai-kada gaya
us bewafa ki did ka arman na puchhiye
'anjum' nashat-o-aish mein guzri meri hayat
ab mujh se mera haal-e-pareshan na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.