kuchh hansi-khel chah hoti hai
kuchh hañsī-khel chaah hotī hai
saḳht mushkil nibāh hotī hai
jis pe kāfir nigāh hotī hai
us kī duniyā tabāh hotī hai
shoḳh kitnī nigāh hotī hai
le ke dil uzr-ḳhvāh hotī hai
husn-e-ḳhāna-ḳharāb yaad rahe
dil kī bastī tabāh hotī hai
jis se hotī hai sharh-e-soz-e-jigar
muḳhtasar sī ik aah hotī hai
dil-e-pur-shauq dekh kar bole
aisī bastī bhī vaah hotī hai
ham ko bhī ai nasīm ai shabnam
hasrat-e-ashk-o-āh hotī hai
jis se hotī hai chashm-e-dil raushan
vo tirī gard-e-rāh hotī hai
haañ dil-e-be-qarār kī qīmat
husn kī ik nigāh hotī hai
tai jo hotī hai teġh-e-qātil se
vahī jannat kī raah hotī hai
ishq meñ jaan dī hai 'muztar' ne
har taraf vāh-vāh hotī hai
kuchh hansi-khel chah hoti hai
saKHt mushkil nibah hoti hai
jis pe kafir nigah hoti hai
us ki duniya tabah hoti hai
shoKH kitni nigah hoti hai
le ke dil uzr-KHwah hoti hai
husn-e-KHana-KHarab yaad rahe
dil ki basti tabah hoti hai
jis se hoti hai sharh-e-soz-e-jigar
muKHtasar si ek aah hoti hai
dil-e-pur-shauq dekh kar bole
aisi basti bhi wah hoti hai
hum ko bhi ai nasim ai shabnam
hasrat-e-ashk-o-ah hoti hai
jis se hoti hai chashm-e-dil raushan
wo teri gard-e-rah hoti hai
han dil-e-be-qarar ki qimat
husn ki ek nigah hoti hai
tai jo hoti hai tegh-e-qatil se
wahi jannat ki rah hoti hai
ishq mein jaan di hai 'muztar' ne
har taraf wah-wah hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.