kuchh haqiqat bhi hai mere sath afsana bhi hai
kuchh haqīqat bhī hai mere saath afsāna bhī hai
koī mere vāste apnā bhī begāna bhī hai
faisla hai aap ke hāthoñ meñ jaanā hai kahāñ
is jahāñ meñ dosto masjid bhī mai-ḳhāna bhī hai
muskurāhaT ke sivā mahbūb ke darbār meñ
peshgī ke vāste ashkoñ kā nazrāna bhī hai
vasl ke din dosto jī bhar ke jiinā hai mujhe
aur jiite jī shab-e-furqat meñ mar jaanā bhī hai
log sach kahte haiñ ye 'parvāz' ke haq meñ ki vo
thoḌā farzāna bhī hai thoḌā sā dīvāna bhī hai
kuchh haqiqat bhi hai mere sath afsana bhi hai
koi mere waste apna bhi begana bhi hai
faisla hai aap ke hathon mein jaana hai kahan
is jahan mein dosto masjid bhi mai-KHana bhi hai
muskurahaT ke siwa mahbub ke darbar mein
peshgi ke waste ashkon ka nazrana bhi hai
wasl ke din dosto ji bhar ke jina hai mujhe
aur jite ji shab-e-furqat mein mar jaana bhi hai
log sach kahte hain ye 'parwaz' ke haq mein ki wo
thoDa farzana bhi hai thoDa sa diwana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.