kuchh haram mein kuchh sanam-KHanon mein diwane gae
kuchh haram mein kuchh sanam-KHanon mein diwane gae
Sultan Shakir Hashmi
MORE BYSultan Shakir Hashmi
kuchh haram meñ kuchh sanam-ḳhānoñ meñ dīvāne ga.e
hosh the jin ke salāmat bas vo mai-ḳhāne ga.e
jaane kyā guzrī ki bāhar ghar ke aa jaane ke baa'd
phir kisī sūrat palaT kar ghar na dīvāne ga.e
ghaTte ghaTte ghaT gayā hai is qadar me.ār-e-zīst
the nazar meñ jitne bhī jiine ke paimāne ga.e
kaT nahīñ paa.ī kisī sūrat bhī dīvānoñ kī baat
aa.e ḳhud bahke hue jo un ko bahkāne ga.e
phir vahī kunj-e-qafas thā ham the aur tanhā.iyāñ
bas lahad tak saath saare apne begāne ga.e
bastiyoñ meñ thī vo vīrānī ki bā-hāl-e-tabāh
chhoḌ kar sab kuchh basāne log vīrāne ga.e
un ke jaate hī jahān-e-zīst barham ho gayā
sham' ke hote hī gul mahfil se parvāne ga.e
muddatoñ baa'd aa.ina dekhā to 'shākir' kyā batā.eñ
aaj apne aap se bhī ham na pahchāne ga.e
kuchh haram mein kuchh sanam-KHanon mein diwane gae
hosh the jin ke salamat bas wo mai-KHane gae
jaane kya guzri ki bahar ghar ke aa jaane ke ba'd
phir kisi surat palaT kar ghar na diwane gae
ghaTte ghaTte ghaT gaya hai is qadar mear-e-zist
the nazar mein jitne bhi jine ke paimane gae
kaT nahin pai kisi surat bhi diwanon ki baat
aae KHud bahke hue jo un ko bahkane gae
phir wahi kunj-e-qafas tha hum the aur tanhaiyan
bas lahad tak sath sare apne begane gae
bastiyon mein thi wo virani ki ba-haal-e-tabah
chhoD kar sab kuchh basane log virane gae
un ke jate hi jahan-e-zist barham ho gaya
sham' ke hote hi gul mahfil se parwane gae
muddaton ba'd aaina dekha to 'shakir' kya bataen
aaj apne aap se bhi hum na pahchane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.